Hai ya khwaab ya koee haqeeqat hai yeh.
Zindagee har lamha dhal rahee hai jaisay.
Janay kis nazar ka intezaar hai mujhay
Kyoon har waqth in khayalon main ghum hoon main
Ghoorain yeh lamha, raat kay is pal main
Bebasee hai in hawaaon main har taraf
Chand bhee dhal chukka hai is andhairay main
Sirf ek awaaz goonj rahee hai har taraf
Thak chukka hoon
Mit chukka hoon
Jayen ham kahan
Andhera hai yehaan …….
Tanha hoon main
Adhera hai yehan
Tanha hai tu bhee
Ek ehsaas jaisay zindagee ka naheen koee makaan
Naa hai koee chut naa hai koee deewaar
Ho gaya hai jaisay har koee awazaar
Janay kyooon ghum ho chukka hai har insaan.
Ab jaisay kay waqt qareeb aah chukka hai
Jaisay andhaira barh gaya aur saya mit raha hai
Ab shayad yeh zindagee kay safar ka ikhtehtham hain.
Ya phir shay hai yeh ek nayee zindagee ka aaghaaz
Thak chukka hoon
Mit chukka hoon
Jayen ham kahan
Andhera hai yehaan …….
Tanha hoon main
Adhera hai yehan
Tanha hai tu bhee
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment