Aaj ek naya Safar,
Aaj ek nayi manzil ki talash main nikal para hoon main,
Aaj ek nayi umeed kay saath, kay,
Aaj Jo hai waisa kal naheen hoga,
Aaj ka gham aaj kay liyeh kafi hai,
Aaj ka yeh lamha,
Apnay kal ki anay wali khushon ko naheen mita sakayga,
Is umeed kay sath kay har raat ki ek subha zaroor hai?
Har ek katra in ansoon ka umeed karth hai,
Kay unkay behnay ke waja sirif yeh azab naheen rahaingay,
Balkay kaheen is zindagi kay Kisi mor par,
Ek khushi bhi intezar kar rahi hogi,
Jaisay yeh khushian hamesha naheen rehtheen,
Isi tarhan yeh gham bhi ek din naa rahaingay
Ya phir shayad main Na rahoonga
Yeh Khushi aur Gham ki ankh macholi toe lagi rahaygi,
Jab tak yeh sansain chalthi hain,
Lekin yeh zindagi ka khail khailnay wala main akayla toe naheen,
Aur bhi toe hain jo is zindagi ko jeethay hain,
Chahay jis haal main bhi hon …
Lekin har Dard bhari cheek ki wadion main say,
Ek khushi ki muskurahat apna rastha bana hi lethi hai,
Isi tarhan main bhi is mushkilon bhari zindagi main say,
Chandh khushion kay pal samaitna chahatha hoon,
Aaj phir say chala hoon ek naye zindagi ki talash main,
Ek naye Safar, ek nayi manzil ki taraf
Yeh sochthay huay kay shayad yehi hai meri zindagi ka maqsad,
Shayad Jo kuch bhi hua, Woh is liyeh kay mujhay yehan pohunchna tha,
Jahan aaj main khara hoon,
Lekin phir ek sawaal samnay aakhara hotha hai,
Kay, kiya yehi thaa jo mera intezar kar raha thaa?
Agar naheen toe main phir chal paroonga ek nayi rah par,
Ek nayi manzil ki talash main, ek nayi khushi ko dhoondhnay,
Kyoon kay yeh sansain abh bhi chaltha hain,
Aur yeh zehan ab bhi sochtha hai, farq sirif itna hai,
Yeh rooh ab bejaan hochuki hai,
Lekin main phir bhi zinda hoon
EK Zinda Laash ….
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment